sahraon mein KHak uDai surat majnun wali ki
By samar-khanabadoshFebruary 29, 2024
sahraon mein khak udai surat majnun wali ki
mutanabbi ko samne rakkha nazmen padhi hain 'haali' ki
unton ko bhi le aaya 'iqbaal' ke saqi-nama tak
ya'ni mujh se charwahe ne urdu ki rakhwali ki
khema uthae sahra sahra shayad yun phirta na kabhi
khana-badoshan sun leti gar yaro baat sawali ki
aas ki pariyan qasr-e-dil ki chhat par aana bhul gain
jab se khwab mein surat dekhi sindhi ajrak wali ki
'mir' ki turbat par ghazlon ne ro-ro rakh din apni chhab
maqta' tankne walon ne jab had kar di bad-hali ki
naranag ki wadi mein ek birhan gae hijr ka rag
thahar zara ai 'khana-badosha' sujh hai gar santhaali ki

96049 viewsghazal • English