sail-e-girya ka sine se rishta bahut yani hain is kharabe mein dariya bahut main ne us nam se sham rangin ki main ne us ke hawale se socha bahut dekhne ke liye sara aalam bhi kam chahne ke liye ek chehra bahut is se aage to bas khwab hi khwab the main ne us ko mujhe us ne dekha bahut main bhi uljha hun manzar ke nairang se mere pairon se lipti hai duniya bahut raftagan ke qadam jaise aahu ka ram jaane walon ko raston ne roka bahut jang-ju marakon mein hue surkh-ru bastiyan bain karti hain tanha bahut