sair-e-gulshan se jo fursat ho idhar bhi dekho rang-e-gul dekh chuke dagh-e-jigar bhi dekho meri mayyat pe use khak-basar bhi dekho zindagi-bhar ki riyazat ka samar bhi dekho nuqta-e-husn ba-andaz-e-digar bhi dekho ishq ka zawiya-e-husn-e-nazar bhi dekho ek hi husn ke jalwe nazar aaenge tamam aaina-khana-e-duniya mein jidhar bhi dekho hasrat-o-yas-o-gham-o-ranj hain mehman dil mein kitna aabaad hai allah ka ghar bhi dekho bikhri sindur bhari zulfon mein ru-e-raushan surkhi-e-sham mein unwan-e-sahar bhi dekho marte marte na hate rah-e-mohabbat se qadam mujh mein sau aib sahi ek hunar bhi dekho farq karte nahin 'shoala' khazaf-o-gauhar mein ye sitam-zarfi-e-arbab-e-nazar bhi dekho