sairab ho kabhi ye khilaf-e-qayas hai apni nazar ko pyas to sahra ki pyas hai is mein hai sari husn-o-mohabbat se dilkashi ye zist warna maut hi ka iqtibas hai ye dekhne ki shai nahin mahsus kar ise har phul ke badan pe haya ka libas hai matam-kunan hai shiddat-e-tufan ki mauj mauj kashti meri dubo ke samundar udas hai yun lamha lamha chhalke mera jam-e-zindagi bachche ke hath jaise labaalab gilas hai har aadmi banata hai qismat ke zaiche har aadmi yahan to sitara-shanas hai ashaar kyon na mere hon khushbu ki khetiyan ai 'jaan' khak-e-pak jo fan ki asas hai