saja raha hun main duniya ko yun qarine se

By rohit-gaur-ruuhJanuary 4, 2024
saja raha hun main duniya ko yun qarine se
maza hi khatm hai jine ka mere jine se
kata jigar hai phata dil badan mera zakhmi
na faiz chaak-e-gareban ko ab ke sine se


'adu se kaisa gila hai wo rashk ka mara
yahan to dost mile sab ke sab kamine se
karun hun 'ruh' faqat pyar ki hi mazduri
tabhi to aati hai khushbu mere pasine se


38273 viewsghazalEnglish