sakun mila hai magar iztirab jaisa hai

By mumtaz-rashidNovember 9, 2020
sakun mila hai magar iztirab jaisa hai
tere badan ka fusun bhi sharab jaisa hai
hanse wo lakh magar zabt-e-gham ki tahriren
na chhup sakengi ki chehra kitab jaisa hai


milega pas se kuchh bhi na khak o khun ke siwa
palat chalen ki ye manzar sarab jaisa hai
na koi ped na saya na aahaton ka guman
ye justuju ka safar bhi azab jaisa hai


wo samne hai magar us ko chhu nahin sakta
main pujta hun wo paikar jo khwab jaisa hai
sulag rahe ho yunhi gham ki dhup se 'rashid'
wo hath chum ke dekho gulab jaisa hai


64092 viewsghazalEnglish