salib-e-dard pe wara gaya tha kyun mujh ko gham-e-firaq se mara gaya tha kyun mujh ko kisi khayal kisi khwab ke jazire par tamam umr guzara gaya tha kyun mujh ko palat raha tha dar-e-khwab se jo khali hath to bar bar pukara gaya tha kyun mujh ko kaf-e-guman se jo girna tha umr bhar ke liye to ek pal ko saraha gaya tha kyun mujh ko agar nahin tha yahan koi muntazir mera to phir falak se utara gaya tha kyun mujh ko kisi ne meri taraf dekhna na tha 'khurshid' to be-sabab hi sanwara gaya tha kyun mujh ko