saloni sham ke aangan mein jab do waqt milte hain bhatakte hum se un sayon mein kuchh aadhe adhure hain samundar hai hamare samne maghrur-o-khud-sar sa hamein ek pul bana kar fasle sab par karne hain andheron se ujalon tak ujalon se andheron tak sada gardish hi gardish hai kahan jaane wo pahunche hain zamin ke phul sone aur chandi se nahin khilte kisi mehnat ki khushbu se sabhi aanchal mahakte hain wahi hain sanp wishkanya ko das kar palne wale meri nagri ko rah rah kar wo ab bhi zahr dete hain har ek ehsas ki pahchan khatt-o-khal kho baithi wo apne aap mein dube hue gum-sum se rahte hain