samaat se jab aawazon ka nata Tut jata hai

By anaam-damohiFebruary 5, 2024
sama'at se jab aawazon ka nata tut jata hai
to apne aap mein insan kitna tut jata hai
bharosa tutne par kis liye afsos karte ho
yahan to jism se sanson ka rishta tut jata hai


koi hamraaz ham-saya zaruri hota hai yaro
safar mein zist ke insan tanha tut jata hai
ana ab chhod do tum aur main bhi chhodta hun zid
ye bal padte hain to har ek dhaga tut jata hai


mera arman mera khwab mera dil mera jazba
khafa hone se tere dekh kya kya tut jata hai
main insan hun agar main tut bhi jaun to hairat kya
nazar lagne se to be-jaan shisha tut jata hai


79504 viewsghazalEnglish