saman-e-ehtimam-e-charaghan abhi nahin

By bashir-farooqJuly 12, 2021
saman-e-ehtimam-e-charaghan abhi nahin
mahfuz bijliyon se gulistan abhi nahin
mera nasib hain gham-e-dauran ki talkhiyan
mere nasib mein gham-e-jaanan abhi nahin


kahte hain lab ki chhed fasane bahaar ke
kahti hai aankh zikr-e-bahaaran abhi nahin
ab tak khizan-rasida hai subh-e-bahaar-e-nau
aasuda-e-bahaar-e-gulistan abhi nahin


har lab pe hai nazara-e-sahil ki guftugu
dil raazdar-e-lazzat-e-tufan abhi nahin
go subh ho chuki hai andhera hanuz hai
kuchh eatibar-e-subh-e-darakhshan abhi nahin


'faruq' koi husn-e-charaghan manae kya
dil be-niyaz-e-baad-e-shahidan abhi nahin
34731 viewsghazalEnglish