samand-e-KHwab wahan chhoD kar rawana hua

By jamuna-parsad-rahiNovember 2, 2020
samand-e-khwab wahan chhod kar rawana hua
jahan suragh-e-safar koi naqsh-e-pa na hua
ajib aag laga kar koi rawana hua
mere makan ko jalte hue zamana hua


main tha kahan ka musawwir ki pujti duniya
bahut hua to mera ghar nigar-khana hua
ugao dard ki faslen ki zindagi jage
lahu ki fasl ugate hue zamana hua


main aaina hun har ek sahib-e-nazar ke liye
magar khud apne hi chehre se aashna na hua
bikhar gai thi sar-e-rah zindagi lekin
qadam ruke to mera farz taziyana hua


45573 viewsghazalEnglish