sambhal kar aah bharna ai asir-e-dam-e-tanhai kahin hathon se chhut jae na daman-e-shakebai ajab andaz rakhti hai ada-e-dasht-paimai ki khud hi khar badh kar chumte hain pa-e-saudai jo rang-e-husn-e-khamoshi hai wo khoti hai goyai hua jab lab-kusha ghuncha to bahar bu nikal aai abhi to bas tasawwur hai tumhaare aastane ka abhi dekha kahan tum ne mera zauq-e-jabin-sai kuchh is andaz se chheda nigah-e-naz-e-jaanan ne ki rah rah kar hamare dil ke zakhmon ko hansi aai rahe inkar mein iqrar ka eajaz bhi pinhan karo khun-e-wafa lekin ba-andaz-e-masihai araq-agin jabin insaniyat ki ho gai 'jumbish' ki daur aaya hai wo sharm-o-haya ki aankh bhar aai