samet kar tere jalwon ki raushni main ne dil-o-nigah ki duniya sanwar li main ne mizaj-e-husn kisi taur se badal na saka gawara samjha gham-e-na-gawar bhi main ne tamam sakhtiyan rah-e-talab ki sahl huin tumhaare nam ki tasbih jab padhi main ne tumhaara ishq hua hai kai ghamon ka sabab ki ek jahan ki kharidi hai dushmani main ne nuqush-e-pa pe jabin ain be-khudi mein rahi bhulae kab bhala aadab-e-ashiqi main ne ye kaun de gaya mujh ko sukun-e-qalb-o-nazar ye kis ka nam liya tha abhi abhi main ne meri hayat-e-do-roza ka kya buri ki bhali guzarni padi 'jauhar' guzar di main ne