samne ho to bas ishaara kar
By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
samne ho to bas ishaara kar
wo chala jae to pukara kar
aaya kyon tha parai mahfil mein
apni tanhai se guzara kar
us ne dil se nahin kiya hai mu'af
aakhiri jurm hai dubara kar
tujh ko darbar mein bhi rahna hai
'shah' ki sha'iri gawara kar
kab talak dusron se liptega
apni jaanib bhi ek ishaara kar
tu pila deta hai hamein jo sharab
tu hi us ka nasha utara kar
barti hain mehrbaniyan jis ki
us ki majburi bhi gawara kar
wo chala jae to pukara kar
aaya kyon tha parai mahfil mein
apni tanhai se guzara kar
us ne dil se nahin kiya hai mu'af
aakhiri jurm hai dubara kar
tujh ko darbar mein bhi rahna hai
'shah' ki sha'iri gawara kar
kab talak dusron se liptega
apni jaanib bhi ek ishaara kar
tu pila deta hai hamein jo sharab
tu hi us ka nasha utara kar
barti hain mehrbaniyan jis ki
us ki majburi bhi gawara kar
26560 viewsghazal • English