samne koi bhi manzar na saman hota hai dil sulagta hai to aankhon mein dhuan hota hai jaane kis shahr ki dharti pe qadam hai apna apne hone pe na hone ka guman hota hai zindagi shahd se shirin hai to zahrab bhi hai is ka ehsas magar sab ko kahan hota hai kabhi khurshid pe hota hai guman zarre ka koi zarra kabhi khurshid-nishan hota hai jada-e-fahm-o-farasat mein bhi milte hain sarab har yaqin manzil-e-sad-wahm-o-guman hota hai pattharon se hai shikayat na to rahon se gila thokaren kha ke mera azm jawan hota hai dil kuchh is taur hai manus gham-e-hasti se aish ka is pe tasawwur bhi giran hota hai mera mazi hai sulagte hue sahra ki tarah sail-e-ashk aankhon se yun hi na rawan hota hai chot jab padti hai fankar ke dil par 'jauhar' dard surat-gar-e-izhaar-e-bayan hota hai