samne shah-e-waqt ke 'aslam' kaun kahe ye baat chor na the fankar the hum phir kat liye kyun hat us ka shewa us ki fitrat rishton ki tauhin nang-e-insaniyyat hain sab us ke ehsasat kundli mare baitha hua tha us ki zat mein khot aa kar wapas ho jati thi rishton ki saughat meri khamoshi par tari hai kaisa aalam-e-kashf dasht-e-badan par hone lagi hai rangon ki barsat jaise ye bhi pat rahi hon shakhsiyyat ka jhol rauzon ki diwaron par yun kanda hain aayat jaane kis aawaz ki khushbu sungh rahe hain kan sare badan mein dol raha hai ek kaif-e-lazzat