samne uske kabhi uski sataish nahin ki

By ahmad-farazFebruary 4, 2025
samne us ke kabhi us ki sataish nahin ki
dil ne chaha bhi agar honton ne jumbish nahin ki
ahl-e-mahfil pe kab ahwal khula hai apna
main bhi khamosh raha us ne bhi pursish nahin ki


jis qadar us se ta'alluq tha chala jata hai
us ka kya ranj ho jis ki kabhi khwahish nahin ki
ye bhi kya kam hai ki donon ka bharam qaem hai
us ne bakhshish nahin ki hum ne guzarish nahin ki


ek to hum ko adab aadab ne pyasa rakkha
us pe mahfil mein surahi ne bhi gardish nahin ki
hum ki dukh odh ke khalwat mein pade rahte hain
hum ne bazar mein zakhmon ki numaish nahin ki


ai mere abr-e-karam dekh ye virana-e-jaan
kya kisi dasht pe tu ne kabhi barish nahin ki
kat mare apne qabile ki hifazat ke liye
maqtal-e-shahr mein thahre rahe jumbish nahin ki


wo hamein bhul gaya ho to ajab kya hai 'faraaz'
hum ne bhi mel-mulaqat ki koshish nahin ki
35491 viewsghazalEnglish