samundar is qadar shorida-sar kyun lag raha hai

By iftikhar-arifOctober 31, 2020
samundar is qadar shorida-sar kyun lag raha hai
kinare par bhi hum ko itna dar kyun lag raha hai
wo jis ki jurat-e-parwaz ke charche bahut the
wahi tair hamein be-baal-o-par kyun lag raha hai


wo jis ke nam se raushan the mustaqbil ke sab khwab
wahi chehra hamein na-mo'tabar kyun lag raha hai
bahaaren jis ki shakhon se gawahi mangti thin
wahi mausam hamein ab be-samar kyun lag raha hai


dar-o-diwar itne ajnabi kyun lag rahe hain
khud apne ghar mein aakhir itna dar kyun lag raha hai
25104 viewsghazalEnglish