samundar ulTa-sidha bolta hai

By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
samundar ulta-sidha bolta hai
saliqe se to pyasa bolta hai
yahan to us ka paisa bolta hai
wahan dekhenge wo kya bolta hai


nigahen karti rah jati hain hijje
wo jab chehre se imla bolta hai
main chup rahta hun itna bol kar bhi
wo chup rah kar bhi kitna bolta hai


tumhaare sath udanen bolti hain
hamare sath pinjra bolta hai
ye mahfil khatm ho jae to dekhun
bina mic ke wo kya bolta hai


kisi ke lab nahin hain us ke jaise
wo har mahfil mein tanha bolta hai
meri hadd-e-adab taid tak hai
khuda jaane wo kya-kya bolta hai


31838 viewsghazalEnglish