samundaron ke safar mein nadi ki pyas bujhe

By badr-shamsiOctober 8, 2023
samundaron ke safar mein nadi ki pyas bujhe
hamare khun se shayad kisi ki pyas bujhe
na jaane kitne ujalon ko pi chuki lekin
na jaane kab meri tira-shabi ki pyas bujhe


mera sukut bhi aawaz ka samundar hai
jo ek nazar mujhe chhu le usi ki pyas bujhe
mata'-e-soz-e-nihan aur bakhsh de mujh ko
kisi tarah teri dariya-dili ki pyas bujhe


sawad-e-manzil-e-jaanan ki kucha-e-qatil
kahin to ja ke gham-e-zindagi ki pyas bujhe
nasib-e-ahl-e-nazar hai safar sarabon ka
na bujh saki na kabhi jite ji ki pyas bujhe


wo tere ganw ka panghat tha mera shahr nahin
ki lu chale to kisi ajnabi ki pyas bujhe
pighal bhi jae jo ye barf us ke chehre ki
yaqin nahin meri be-chehragi ki pyas bujhe


baraste tiron ki barish mein hum hain sina-kusha
yahi wo rut hai ki dil ki lagi ki pyas bujhe
mile na jaane kahan 'badr' chashma-e-zulmat
khabar nahin ki kahan shab-rawi ki pyas bujhe


83404 viewsghazalEnglish