sanam hazar hua to wahi sanam ka sanam ki asl hasti-e-nabud hai adam ka adam isi jahan mein goya mujhe bahisht mili agar rakhoge mere par yahi karam ka karam abhi to tum ne kiye the hamari jaan-bakhshi phir ek dam mein wahi nimcha alam ka alam wo gul-badan ka ajab hai mizaj-e-ranga-rang fajar kun lutf to phir sham kun sitam ka sitam na rakh 'siraj' kisi khub-ru sen chashm-e-wafa sanam hazar hua to wahi sanam ka sanam