sanam ke sanam the patthar hamari tab-e-nazar se pahle jabin mein sajde tadap rahe the na jaane kyun sang-e-dar se pahle tu rahzan to nahin hai puchhun main kis tarah ham-safar se pahle sawal aisa kiya nahin hai kisi ne bhi rahbar se pahle ajib rah-e-adam hai par khatm har ek rahi ko hai yahi gham ye raaz khulta nahin kisi par jahan mein azm-e-safar se pahle ye tir aisa laga hai dil par ki dil maza us ka jaanta hai main lazzat-e-gham se be-khabar tha tumhaari tirchhi nazar se pahle ye aarzu hai rahe wo qaem ki chaarasazi ka ab nahin gham khalish jo mahsus kar raha tha jigar main dard-e-jigar se pahle ye aadmi hi bina-e-shar hai jo apni hasti se be-khabar hai gunah ka nam tak kahan tha wajud-e-nau-e-bashar se pahle main zulmaton mein bhi dekhta tha siyah-bakhti ka apni aalam meri nazar-e-motabar kahan thi drud-e-shms-o-qamar se pahle