sang aata hai koi jab mere sar ki jaanib dekh leta hun samar-bar shajar ki jaanib is masafat ka koi ant nahin hai lekin din nikalte hi main chal padta hun ghar ki jaanib kis ne aawaz mujhe sahil-e-jaan se di hai naw kyun dil ki lapakti hai bhanwar ki jaanib qissa-e-shauq ko us tishna-labi ka likhna kar ke ek aur safar shahr-e-hunar ki jaanib phir se angaron ka mausam mere andar utra phir badha hath mera lal-o-gohar ki jaanib ye jo hai surat-e-haalat badal sakti hai kash kar panw safar khair se shar ki jaanib ain mumkin hai ki pathraata na koi 'azmi' tu ne dekha hi nahin mud ke nagar ki jaanib