sang-e-be-qimat tarasha aur jauhar kar diya sham-e-ilm-o-agahi se dil munawwar kar daya fikr-o-fan tahzib-o-hikmat di shuur-o-agahi gum-shudan-e-rah ko goya ki rahbar kar daya chashm-e-faiz aur dast wo paras-sifat jab chhu gae mujh ko mitti se uthaya aur falak par kar diya de jaza allah tu is baghban-e-ilm ko jis ne ghunchon ko khilaya aur gul-e-tar kar diya khaka-e-taswir tha main khali-az-rang-e-hayat yun sajaya aap ne mujh ko ki 'qaisar' kar diya