sang-e-dar dekh ke hairan the hum kis ka hai
By sarahat-ahmad-sarahatJanuary 4, 2024
sang-e-dar dekh ke hairan the hum kis ka hai
dil ne samjha diya jhuk kar ye haram kis ka hai
wo hamein apna bana kar hi saza dete hain
ye sitam un ka agar hai to karam kis ka hai
apni aankhon ne bataya to samajh mein aaya
chashm-e-namnak pe ye daman-e-nam kis ka hai
sar jhukate hain 'aqidat mein jhukane wale
dekhta koi nahin naqsh-e-qadam kis ka hai

19295 viewsghazal • English