sang mein ruh ka imkan bhi ho sakta hai

sang mein ruh ka imkan bhi ho sakta hai
wo jo but hai wo meri jaan bhi ho sakta hai

kya zaruri hai mahakta ho faqat us ka badan
ghar mein rakkha hua guldan bhi ho sakta hai

ye jo chahat hai 'adawat mein badal sakti hai
ye jo tohfa hai kal ehsan bhi ho sakta hai

ab bhi aa sakta hai wo chand nazar dhyan rahe
nisf shab 'id ka e'lan bhi ho sakta hai

phir tere ba'd hasin chehre ko dekha to laga
'ishq to hijr ke dauran bhi ho sakta hai

rah mein 'ishq ki ma'lum hai 'sayyad-ahmad’
jaan ka mal ka nuqsan bhi ho sakta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close