sani nahin tha us ka koi bankpan mein raat

By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
sani nahin tha us ka koi bankpan mein raat
angdai le ke jag uthi thi badan mein raat
behuda raushni ki aziyyat thi shahr mein
so hum ne tai kiya ki guzarenge ban mein raat


kal tum ne haal bhi nahin puchha gharib ka
kis tarh katni padi apne badan mein raat
jis ne sabhi ko rang liya apne rang mein
sach puchhiye to taq hai bas ek fan mein raat


auqat mehr-o-mah ki ma'lum tab hui
jab hum guzar aae teri anjuman mein raat
chunta raha tamam shab us ke badan se phul
aisa laga ki tham si gai ho chaman mein raat


18614 viewsghazalEnglish