sannate ka aalam qabr mein hai hai khwab-e-adam aaram nahin imkan-e-numud-e-subh nahin ummid-e-charagh-e-sham nahin dil name ke shak le purze kiya ai wae nasibe ka ye likha peshani par un ki mohr nahin sar-name pe mera nam nahin jate hain jo ujde zinda chaman is bagh-e-jahan ki wajh ye hai gulzar ye jis gulfam ka hai us bagh mein wo gulfam nahin bichh jaenge bulbul aa ke hazaron tut padenge jal ye hai sayyaad gulabi pahne hai kapde chadar-e-gul hai dam nahin is najd mein khauf ai laila na kar us gham-zada ki le ja ke khabar majnun se tera wahshi hai tera be-chaara koi zirgham nahin aagah kiya hai dil ko hamare kis ne tumhaari khubiyon se insaf karo munsif ho tumhin phir kya hai jo ye ilham nahin dil dete hi un ko ghulne lage nazron mein ajal ke tulne lage aaghaz-e-mohabbat se ye khula chahat ka ba-khair anjam nahin aalam hai ajab giti-e-adam ka chaar taraf hai aalam-e-hu aasaish-e-jaan-o-ruh nahin rahat ka koi hangam nahin jaana hai adam ki rah hamein hona hai fana-fillah hamein lete hain yahan dam chand nafas hasti se hamein kuchh kaam nahin phir aankh kabhi khulne ki nahin nind aaegi ek din aisi hamein hona hai yahi soche hain jo hum ye khwab-o-khayal-e-kham nahin chaurang nahin kyun khelte ab kis kushte pe rahm aaya hai tumhein khun-reziyon ka kyun shauq nahin kyun zeb-e-kamar samsam nahin aqlim-e-khamoshan se to sada ek gham-zada aati hai ye sada hain saikdon shahanshah yahan par hukm nahin ahkaam nahin duniya mein jo tha tabe tha jahan malum nahin pahuncha wo kahan ibrat ka mahal kahte hain ise ab gor mein bhi bahram nahin bulbul ki fughan par khanda-zani ghunchon ne jo ki pazhmurda hue sach hai ki hazin-o-gham-zada ho hansne ka ba-khair anjam nahin didar ke bhuke tere jo hain hai khatm unhin par nafs-kushi kuchh khwahish-o-fikr-e-faut nahin duniya ke maze se kaam nahin tum qabr mein kyun uth baithe 'sharaf' aaram karo aaram karo yaran-e-watan rote hain tumhein kuchh hashr nahin kohram nahin