sanp bhi bin bhi madari bhi

By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
sanp bhi bin bhi madari bhi
hae kya baat hai tumhaari bhi
kaise karte ho yar mic par
sha'iri bhi dukan-dari bhi


hum wali to nahin khuda se magar
jaan-pahchan hai hamari bhi
sirf dil ka mu'amla hi nahin
'ishq hai ek zimme-dari bhi


haar kar phul teri khushbu se
dhund lete hain rishtedari bhi
wo jo pichhli qatar mein khush tha
aa gai aaj us ki bari bhi


hum kabhi ek sath karte the
khaksari bhi shah-sawari bhi
aap khamoshiyan bhi sunte hain
aah sun lijiye hamari bhi


97745 viewsghazalEnglish