sanp sar mar agar jo jawe mar

By abroo-shah-mubarakOctober 23, 2020
sanp sar mar agar jo jawe mar
na kare zulf ke teri sar bar
nam laila ka dam-ba-dam le le
marta hai jangal mein majnun bad


aashiqan dekh teri sang-dili
jaan dete hain dam-ba-dam mar mar
'abru' jiw dub jata hai
be-khudi ki jab aawati hai lahr


37379 viewsghazalEnglish