sansar ki har shai ka itna hi fasana hai

By sahir-ludhianviNovember 15, 2020
sansar ki har shai ka itna hi fasana hai
ek dhund se aana hai ek dhund mein jaana hai
ye rah kahan se hai ye rah kahan tak hai
ye raaz koi rahi samjha hai na jaana hai


ek pal ki palak par hai thahri hui ye duniya
ek pal ke jhapakne tak har khel suhana hai
kya jaane koi kis par kis mod par kya bite
is rah mein ai rahi har mod bahana hai


hum log khilauna hain ek aise khiladi ka
jis ko abhi sadiyon tak ye khel rachana hai
67711 viewsghazalEnglish