sanson mein rag-o-pai mein samaya hai koi aur hai zist kisi aur ki jita hai koi aur aankhon ne basai hai koi aur hi surat us dil ke nihan-khane mein thahra hai koi aur kya turfa tamasha hai ki us dil ki sada ko sunta hai koi aur samajhta hai koi aur ek aag hai jo dil mein bujhi jati hai har-pal khirman se jo uthta hai wo shoala hai koi aur lashe hain kinare pe pade tishna-labon ke jo pyas bujhata hai wo dariya hai koi aur har subh pe saya sa hai kuchh talkhi-e-shab ka har sham ko andesha-e-farda hai koi aur ek bu-e-rifaqat si fazaon mein hai 'shahid' is kucha-e-begana se guzra hai koi aur