sapne gae sukun bhi ulfat chali gai

By nazar-dwivediFebruary 27, 2024
sapne gae sukun bhi ulfat chali gai
milne ki apne aap se fursat chali gai
meri to bolne ki hi 'adat chali gai
tere hi sath sari shararat chali gai


khushiyan thin us se ghar mein thin aangan mein raunaqen
bitiya ke sath ghar ki bhi barkat chali gai
chhuta tumhaara sath to baqi hi kya bacha
dil mein jo pal rahi thi wo hasrat chali gai


aate nahin faqir na sail bhi aaj-kal
man kya gai ki ghar ki riwayat chali gai
mere sukhan pe tu ne uthain jo ungliyan
meri tamam 'umr ki mehnat chali gai


yun bhi kabhi jahan mein ifraat mein na thi
thodi bahut thi wo bhi sadaqat chali gai
hoti nahin hai she'r ki aamad bhi ab 'nazar'
tum kya gae ki lafz ki taqat chali gai


65327 viewsghazalEnglish