saqi-gari ka farz ada kar diya gaya pani ka ghunt zahr mila kar diya gaya bas tajrabon ki nazr hue apne sare khwab kya hum ne karna chaha tha kya kar diya gaya wabastagi kisi ki to is gham-kade se hai warna yahan pe kaun jala kar diya gaya ab qaid khatm hone ki wo kya khushi manae par qainch kar ke jis ko riha kar diya gaya khu-e-sitam tumhein di hamein khu-e-zabt-e-gham sab ko ba-qadr-e-zarf ata kar diya gaya ek zikr aisa chheda kisi gham-gusar ne bharne ko tha jo zakhm hara kar diya gaya