saqi sharab la ki tabiat udas hai mutrib rubab utha ki tabiat udas hai ruk ruk ke saz chhed ki dil mutmain nahin tham tham ke mai pila ki tabiat udas hai chubhti hai qalb o jaan mein sitaron ki raushni ai chand dub ja ki tabiat udas hai mujh se nazar na pher ki barham hai zindagi mujh se nazar mila ki tabiat udas hai shayad tere labon ki chatak se ho ji bahaal ai dost muskura ki tabiat udas hai hai husn ka fusun bhi ilaj-e-fasurdagi rukh se naqab utha ki tabiat udas hai main ne kabhi ye zid to nahin ki par aaj shab ai mah-jabin na ja ki tabiat udas hai imshab gurez-o-ram ka nahin hai koi mahal aaghosh mein dar aa ki tabiat udas hai kaifiyyat-e-sukut se badhta hai aur gham qissa koi suna ki tabiat udas hai yunhi durust hogi tabiat teri 'adam' kam-bakht bhul ja ki tabiat udas hai tauba to kar chuka hun magar phir bhi ai 'adam' thoda sa zahr la ki tabiat udas hai