saqiya ek nazar kafi hai bas ab ke baras
By ustad-azmat-hussain-khanJanuary 5, 2024
saqiya ek nazar kafi hai bas ab ke baras
aankh se aankh ko pita hai ye ras ab ke baras
mere sayyaad ko aaya hai taras ab ke baras
rakh diya sehn-e-gulistan mein qafas ab ke baras
muntazir aaj har ek rind hai ai abr-e-bahaar
mai-kada gharq ho itna to baras ab ke baras
abr ghir ghir ke chala aata hai maikhane ki samt
kash saqi ko bhi aa jae taras ab ke baras
mai-kada sara mahak jae mai-o-jam ke sath
bandhi jae dar-e-mai-khana pe khas ab ke baras
jis ka ji chahe wo saqi ki nazar se pi le
mai-kasho hech hai angur ka ras ab ke baras
hone wala hai koi faez-e-manzil shayad
aa rahi hai nai aawaz-e-jaras ab ke baras
sahib-e-zarf hain sairab nazar se un ki
aur bhatakte hi rahe ahl-e-hawas ab ke baras
koi tishna na rahega zara ho jaane do
sare maikhane pe 'maikash' mera bas ab ke baras

44436 viewsghazal • English