sar-ba-zanu koi fankar alag baiTha hai

By ahmad-kamal-parwaziMay 24, 2024
sar-ba-zanu koi fankar alag baitha hai
main yahan hun mera kirdar alag baitha hai
shahr mein nama-e-taqdis likha jaega
mutmain hun mera inkar alag baitha hai


teri tarif mein sab bol rahe hain lekin
is pe hairat hai ki mear alag baitha hai
ghair-mahfuz hain diwar banane wale
aur shahanshah sar-e-minar alag baitha hai


ab dabaoge to patthar se nikal aaegi
ek aawaz ka haqdar alag baitha hai
60037 viewsghazalEnglish