sar-e-bazm-e-talab raqs-e-sharar hone se darti hun ki main khud par mohabbat ki nazar hone se darti hun bachana chahti hun us ko suraj ki tamazat se magar main us ke raste ka shajar hone se darti hun kabhi us ke khayalon mein nahin jati thi dariya par aur ab ye waqt aaya hai ki ghar hone se darti hun agar ye sach hai khushbu aur mohabbat chhup nahin sakte to kyun apni mohabbat ki khabar hone se darti hun main apni zat mein bhige paron ka bojh hun shayad kisi be-baal-o-par ke baal-o-par hone se darti hun mujhe dushman ka bhi dil todna achchha nahin lagta kisi ki bad-duaon ka asar hone se darti hun bhala tashbih se rutba mera kyun kam kare koi 'qamar' hun is liye rashk-e-qamar hone se darti hun