sar-e-nigah bisat-e-jahan to kuchh bhi nahin jahan-e-khud-nigar-o-kaj-guman to kuchh bhi nahin darud bar-sar-e-karb-e-taghayyur-e-mausam gham-e-siyasat-e-ahl-e-jahan to kuchh bhi nahin tamam asl-e-sukhan dad-e-khaliq-e-khama kamal-e-mubtadi-e-nim-jaan to kuchh bhi nahin tamam husn-e-sukhan khubi-ha-e-nukta-waran jamal-e-dida-e-girya-kunan to kuchh bhi nahin ba-pesh-e-jurat-e-tark-e-ummid-e-yas faza bisat-e-alam-e-ummid-e-an to kuchh bhi nahin ummid-war rukh-e-dida-bakhs-e-aina-ha qarib-o-dur nigah juz guman to kuchh bhi nahin sukut-e-arz-o-sama parda-ha-e-shorish-e-dil khula ki ghalghala-e-al-aman to kuchh bhi nahin sar-e-basit-e-jamal-e-mujassam-e-ijmal tahayyur-e-nigah-e-ashiqan to kuchh bhi nahin sukun-e-khwab-e-faza ranj-e-raegani-e-umr zayan-e-bais-e-sad-ha ziyan to kuchh bhi nahin shuur-e-chashm-o-dil-o-jaan nisari-e-ashiq agar hai khaliq-e-nam-o-nishan to kuchh bhi nahin safir-e-khush-khabar-e-ku-e-yar-e-na-maujud nahin wajud-e-fareb-e-guman to kuchh bhi nahin khamoshi-e-rah-e-pur-samt-e-yak musafir-e-ju nahin hai nala-e-pa-bast-gan to kuchh bhi nahin salah-e-khush-guzaran qatil-e-tamanna hai magar waqar-e-tamanna yahan to kuchh bhi nahin