sar-e-niyaz jhukana koi mazaq nahin ana-e-qalb mitana koi mazaq nahin labon pe aah ba-har-haal aa hi jati hai jigar ki chot chhupana koi mazaq nahin nuqush-e-qalb mitane se mit nahin sakte kisi ko dil se bhulana koi mazaq nahin hansi hansi mein bhi kya kya gurez-pai hai tarashte hain bahana koi mazaq nahin jahan adab mein siyasat chali jati hai wahan bhi rang jamana koi mazaq nahin nikalte ho zaminen nai nai lekin radif ka bhi nibhana koi mazaq nahin jo ahl-e-ilm hain kante hain un ki rahon mein ab un ko 'taj' hatna koi mazaq nahin