sar-e-rah ab na yun mujhko pukaro tum hi aa jao
By shakeb-jalaliNovember 19, 2020
sar-e-rah ab na yun mujh ko pukaro tum hi aa jao
zara zahmat to hogi raaz-daro tum hi aa jao
kahin aisa na ho dam tod den hasrat se diwane
qafas tak un se milne ko bahaaro tum hi aa jao
bharosa kya safine ka kai tufan hail hain
hamari na-khudai ko kinaro tum hi aa jao
abhi tak wo nahin aae yaqinan raat baqi hai
hamari gham-gusari ko sitaro tum hi aa jao
'shakeb'-e-gham-zada ko dard se hai ab kahan fursat
agar kuchh waqt mil jae to pyaro tum hi aa jao

28947 viewsghazal • English