sar jis pe na jhuk jae use dar nahin kahte har dar pe jo jhuk jae use sar nahin kahte kya ahl-e-jahan tujh ko sitamgar nahin kahte kahte to hain lekin tere munh par nahin kahte kabe mein musalman ko kah dete hain kafir but-khane mein kafir ko bhi kafir nahin kahte rindon ko dara sakte hain kya hazrat-e-waiz jo kahte hain allah se dar kar nahin kahte har bar nae shauq se hai arz-e-tamanna sau bar bhi hum kah ke mukarrar nahin kahte mai-khane ke andar bhi wo kahte nahin mai-khwar jo baat ki mai-khane ke bahar nahin kahte kahte hain mohabbat faqat us haal ko 'bismil' jis haal ko hum un se bhi aksar nahin kahte
Please share if you liked this!!!