sar-kashi ko jab hum ne ham-rikab rakhna hai tutne bikharne ka kya hisab rakhna hai ek ek saat mein zindagi samoni hai ek ek jazbe mein inqalab rakhna hai raat ke andheron se jang karne walon ne subh ki hatheli par aaftab rakhna hai hum pe us se wajib hain koshishen baghawat ki tum ne jis qabile ko kaamyab rakhna hai rakh do hum faqiron ki is kushada jholi mein apni baadshahi ka jo azab rakhna hai tum to khud zamane mein jabr ki alamat ho tum ne jabr kya zer-e-ehtisab rakhna hai shahr-e-be-aman hum ne naqd-e-jaan luta kar bhi tere har dariche par kal ka khwab rakhna hai