sar mein sauda bhi wahi kucha-e-qatil bhi wahi raqs-e-bismil bhi wahi shor-e-salasil bhi wahi baat jab hai ki har ek phul ko yaksan samjho sab ka aameza wahi aab wahi gil bhi wahi dub jata hai jahan dubna hota hai jise warna pairak ko dariya wahi sahil bhi wahi dekhna chaho to zakhmon ka charaghan har-samt mahfil-e-ghair wahi anjuman-e-dil bhi wahi kaise mumkin hai ki qatil hi masiha ho jae us ki niyat bhi wahi dawa-e-baatil bhi wahi tum samajhte nahin 'anwar' to khata kis ki hai rah hai roz-e-azal se wahi manzil bhi wahi