sar pe sajne ko jo tayyar hai mere andar

By liaqat-jafriNovember 4, 2020
sar pe sajne ko jo tayyar hai mere andar
gard-alud si dastar hai mere andar
jis ke mar jaane ka ehsas bana rahta hai
mujh se badh kar koi bimar hai mere andar


roz ashkon ki nai fasl uga deta hai
ek budha sa zamindar hai mere andar
kitna ghanghor andhera hai meri rag rag mein
is qadar raushni darkar hai mere andar


dab ke mar jaunga ek roz main apne niche
ek girti hui diwar hai mere andar
kaun deta hai ye har waqt gawahi meri
kaun ye mera taraf-dar hai mere andar


mere likkhe hue har lafz ko jhutlata hai
mujh se badh kar koi fankar hai mere andar
65601 viewsghazalEnglish