sar subuk-bari se koi dar pe KHam hone ko hai

By abdullah-saqibJanuary 6, 2024
sar subuk-bari se koi dar pe kham hone ko hai
khak ka putla hai zer-e-khak zam hone ko hai
ek sahra jo nami ki jins se waqif nahin
mere ashkon ki farawani se nam hone ko hai


aasmanon se sadaen aa rahi hain dam-ba-dam
mo'jiza hone ko hai ab koi dam hone ko hai
'arsh mahw-e-yas hai aur kah raha hai ek malak
qadd-e-adam ghat chuka hai aur kam hone ko hai


ek suroori kaifiyat yaksar maza deti nahin
jo khushi kal tak khushi thi aaj gham hone ko hai
kya bahaar-o-khushk-sali kya 'uruj aur kya zawal
kal zamin-o-asman mujh ko baham hone ko hai


kar diye mismar main ne sab butan-e-azari
but-kada ab aan mein misl-e-haram hone ko hai
matla'-e-hasti ghubar-alud tha kyon saf hai
dil mukarrar kah raha chashm-e-karam hone ko hai


ek nazar us samt dekho haal-e-duniya jaan lo
aankh-pyala pir ka ab jam-e-jam hone ko hai
ai faqihan-e-haram ai muftiyan-e-kaj-rawish
bul-hawas jo kal tha ab wo mohtaram hone ko hai


28449 viewsghazalEnglish