sar to neze pe un ke uchhaale gae
By shamim-danishFebruary 29, 2024
sar to neze pe un ke uchhaale gae
wo magar apna iman bacha le gae
khub ghairon ke arman nikale gae
aur hum the ki baaton mein tale gae
shauq-e-manzil jinhen tha wo thahre kahan
rah mein un ki kante bhi dale gae
sar pe pahle to dastar bandhi gai
aur phir bazm se hum nikale gae
khud-numai ka shauq aaina-gar ko tha
aaine sakht mushkil mein dale gae
sath jaenge aa'mal hi qabr mein
kis ke kab ham-nafas ham-piyale gae
jo chale us taraf ho gae mo'tabar
jis taraf aap ke naqsh-e-pa le gae
bach na paya bade se bada muttaqi
jab burai ke pahlu nikale gae
wo magar apna iman bacha le gae
khub ghairon ke arman nikale gae
aur hum the ki baaton mein tale gae
shauq-e-manzil jinhen tha wo thahre kahan
rah mein un ki kante bhi dale gae
sar pe pahle to dastar bandhi gai
aur phir bazm se hum nikale gae
khud-numai ka shauq aaina-gar ko tha
aaine sakht mushkil mein dale gae
sath jaenge aa'mal hi qabr mein
kis ke kab ham-nafas ham-piyale gae
jo chale us taraf ho gae mo'tabar
jis taraf aap ke naqsh-e-pa le gae
bach na paya bade se bada muttaqi
jab burai ke pahlu nikale gae
73361 viewsghazal • English