sara-e-shar mein rahna pad raha hai qaza ke dar mein rahna pad raha hai hai mere qatl ke darpai khamoshi sada ke dar mein rahna pad raha hai main khud ko dusron mein dekhta hun so chashm-e-tar mein rahna pad raha hai khayal-o-khwab hain jis ke muawin use bistar mein rahna pad raha hai main hun jis ka dil-o-jaan se mukhalif usi lashkar mein rahna pad raha hai guzara faqr par hota hai phir bhi panah-e-zar mein rahna pad raha hai chala hai hijraton ka daur jab se zamane-bhar mein rahna pad raha hai koi to lash hai mere hawale jo murda ghar mein rahna pad raha hai hawa ke panw to bahar hain 'rahat' mujhe chadar mein rahna pad raha hai