sarapa chashm-e-pur-nam ban gae hain gunahgaron se aadam ban gae hain muallaq the jo mustaqbil mein lamhe wo ab taqdir-e-mubram ban gae hain mohabbat ke qadam jin par pade the wo patthar aab-e-zamzam ban gae hain kamal-e-wasl the jo chand lamhe abhi ek khwab-e-mubham ban gae hain tumhaare lams mein jadu hai kaisa hamare zakhm marham ban gae hain sar-e-taslim kham jab kar liya hai jo chaha aap ne hum ban gae hain hamare chaak-e-daman se 'hidayat' junun ke lakh parcham ban gae hain