sardi garmi barkha tinon ek sath hi baste hain

By prem-bhandariNovember 12, 2020
sardi garmi barkha tinon ek sath hi baste hain
tere badan mein wo jadu hai sare mausam rahte hain
tere mere beach nahin hai khun ka rishta phir bhi kyun
teri aankh ke sare aansu meri aankh se bahte hain


ek zamana bita tere pyar ke jangal se nikle
yaad ke sanp to tanhai mein aaj bhi mujh ko daste hain
wada kar ke bhul bhi jaana ye to teri aadat hai
main hi nahin kahta hun aisa log bhi aksar kahte hain


46439 viewsghazalEnglish